Hazrat-e-abu-daud ki raiwayat se malom hota hai ki hazrat usama aur hazrat abdulraheman-bin-awfa raziallah bhi qabar mai utre thhe. (abu-daud jild-2 sa.458 babu kam yadkhulul qabr)
Sahaba-e-kiram mai yah ikhtilaf runuma howa ki huzur sallallaho-alaye-wa-sallam ko kaha dafan kiya jaye. Kuch logo ne kaha ki masjid-e-nabwi mai aapka madfan hona chahiye aur kuch ne ray di ki aap ko sahaba-e-kiram ke qabrishtan mai dafan karna chahiye. Is mawke par hazrat abu-bakar-siddiqe-raziallah ne farmaya ki mai ne rasul allah sallallah-ho-ta-ala-alaye-wa-sallam se yah suna hai ki har nabi apni wafat ke baad ussi jagaha dafan kiya jaye jis jagaha uski wafat hui ho. Hazrat Abdullah-bin-abbas-raziallah farmate hai ki is hadis ki son kar logo ne huzur sallallah-ho-ta-ala-alaye-wa-sallam ke bichhawne ko uthaya aur us jagaha (huzra-e-ayesha) mai aap ki qabar tayyar ki aur aap ussi mai madfun huwe. (IBN-E-MAZA SA.-118 BABE JIKR-WAFAT)
Huzur kaqdas sallallah-ho-ta-ala-alaye-wa-sallam ke gushal sharif aur tazhiz wa takfin ki sa-adad mai hishsha lene ki liye jaheer hai ki shama-e-nubuwat ke parwane kis kadr bekarar rahe hoge? Magar jayese ki ham taharir kar chuke ki chuki huzur sallallah-ho-ta-ala-alaye-wa-sallam ne khud hi ye washiyat farma di thhi ki mere gushal aur tazheez wa takfeen mere ahele bayet hi kare. Fir ameerul-mominin ho kar hokum diya ki “yaha ahele bayet hi ka haq hai” isliye hazrat abbas-aur ahele bayet ne kiwad band karke gushal diya aur kafan diya aur kafan pahenaya. Magar suro se akhir tak khud hazrat ameerul-mominin aur dusre tamam sahaba-e-kiram huzr-e-mukaddas ke bahar hazir rahe. (MADARIZ JILD-2 SA.-437)





